Skip to main content

Andhbhakt



Yeh kahani hai meri ek bua ki,
Jo ki Eeshwar par aseem shraddha rakhti hai,
Hafte me chaar din upvaas , do din maun vrat, esi unki bhakti hai.



Somwaar se Shanivar, unka apna hi timetable hota hai,
Subah 4 baje se uth ke karti puja path, jab sara jag sota hai.



33 crore devi-devtao ke naam jabaan par ratte hain,
Hamse to chemistry ke teen formulae bhi nahi pate hain.



Desh ke sabhi saadhu santo ki puja yeh karti hain,
Keh do in sadhuo ko kuch bhi, to muh se aag ugalti hain.



Ek din buaji ek naye baba ki tasveer ghar layi,
Boli Sharma ji ke gharwalo ne inse hi krupa payi.



Jab bua thi baba ke Pooja mein magan,
Hamne Google baba ka aashirvad liya,
Aur ghar pe baithe baithe, baba ka kora chittha khulwa diya.




Bua ko bulakar bole, dekho yeh inki sachhai hain,
Tasveer mein dikh rahi bikini babe nahi inki lugayi hain.



Inke bank account mein, tumhari 33 crore devi devtaon se jyada ki sampatti hai,
Kaha se aya itna dhan, ispe income tax walo ko bhi appatti hain.



Bua boli, tu toh naastik hain, tuje kya pata baba kitne chamatkaari hai,
Sham ko hi TV par news ayi, yeh baba to balatkari hain.



Hamne TV ko dekha, fir bua ki taraf najar ghumayi,
Bua baithi thi najre neeche thodi sakuchayi.



Turant uth kar bua ne baba ki photo ko phaad diya,
Sharma ji ke liye apshabdo ke saath fir kisi pe shraddha na karne ka than liya.



Kuch  dino baad, jab ham TV par cricket match dekh rahe the,
Bua muskurate huye ayi aur hamare haath se remote chheen liya,
Boli falaane-falaane channel kis number pe ate hain,
Is waqt yeh log baba ka jail se hi saakshaat darshan karwate hain.


Comments

Popular posts from this blog

chhuttan ka chunaav ticket

Aaj hum sunayenge aapko chhuttan bhaiya ki katha, Netaon ki chaplusi aur band-hadtal hai inke parivar ki pratha. Sabhi pradarshano mein shamil hote, Chahe mudde se bhi wakif na hote. Ek baar to age badh kar putle ka dahan kia, Party adhyaksha ko impress karne ka risk lia. Putla jala kar mude, aur neta ji ki ankho se ankhe milayi, Neta ji ne bhi badh kar apni hateli badhayi. Chhuttan bhaiya khushi se foole nhi samaye, Socha na jane ab kab netaji ka bulawa aye. Khushi mein doston ke sath dawat udayi, Doston ne bhi chhuttan ki khub ki khichayi. Dusre din party daftar se chhuttan ko phone aya, Chhuttan ne apna khadi ka kurta chadhaya. Chhuttan ko ese roop mein dekh log dang reh gaye, Soche is gali ke gunde ke din kese fir gaye. Kurta pehan chhuttan bhaiya ne road se sansad tak ke sapne bun liye, Samne lag nai ke board par MP ki shapath padh liye. Chhuttan khayalo se nikla to wo party daftar ke samne tha, Party daftar karyakartao se...

Wo to abhi bachha hai

Jab wo chaar saal ka tha, Usne laddoo churaye. Maana wo ladakpan tha, Fir bhi use maa-baap na samjhaye. Bole wo toh man ka sachha hai, Wo to abhi bachha hai. Aath ki umar mein baap ka batua le uda, Batuye ki rakam se dosto ko film dikhayi Guthke cigarette ke liye, Chori se ki kamayi. Pata chalne par maa-baap bole, badi harkat nhi ki yeh achha hai, Sambhal jaega wo, abhi to wo bachha hai. Chaudah ki umar me, attempt to murder mein jail gya, Uska shikar hua balak, apni ek ankh se gya, Bal sudhar mein kuch waqt bita ghar pe uske kadam pade, Jang jeeti ho jese, ese maa-baap ro pade. Sambhal lo ise jab tak ghada kachha hai, Jawab mila, kya jarurat hai abhi to wo bachha hai. Aaj satrah ki umar me usne ek naari ki aabru h looti, Kaanp jae rooh esi darindagi hai failayi, Haivaniyat ke is kaand pe na baap dapta na maa chillayi, Kaanoon ke hath bandhe hai, kyuki yeh kanoon luchha h, Jo is par bhi kehta hai, use saja nhi ho sakti wo to abhi bachha h.