Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2014

Dharam aur dange!!!

Ek chhoti si ek sadak pe chal rha tha mai, ki ek bheed ko dekh thithak gaya. hatho me dekh bhale aur talwar mera man sisak gaya. muje dekh un bahubaliyo ne apni bhauhe chadhai, Mujh tak badhte unke kadam dekh chehre se udi hawai. Ek bhare pure insaan ne meri rooh tak mujko ghoora, Fir mudkar tilakdhari baba ko bola yh to hai insaan adhura. Hatho me dhaga h gale me cross aur gale me tabeej, Jaldi se bata kaun se kaum ka h tu beej. Mene baba se bola hindu muslim ka to pata nhi, Par kaum se mai gareeb hoon. Ishwar allah ka mureed hoon. Dar se gala saaf kar mene aage baat badhai, Apne kaumi beej k sawal pe di safai. Mandir masjid k beech chai ka thela lagata hn. Logo se kaum puche bina unko chai pilata hoon. Kal se dango ke karan mera dhanda thanda hai, Par kaam pe to nikalna tha, kyuki yahi  meri roji mera dhanda hai. Chai ke kanastar pe hath rakh kar mene kaha, Aapke irade dekh lagta h aaj bhi khali haath ghar jana padega, Aaj bhi mere

Bhookh

Bhookh ki koi jaat koi bisaat nahi hoti, Bhookh to unko lagti h jinki koi aukaat nahi hoti. Bhookha tan sirf roti ki ichha rakhta hai, Bhookh ke aage koi khurafaat nahi hoti. Khali pair, nange badan to koi bhi chal leta hai, Par bhookhe pet chalne ki kisi ki himaqat nhi hoti. Sone k liye chadar mile na mile, Khane ke liye do roti ki darkaar hai, Roti hi hai duniya me jiske liye sari takraar hai. Takraaro me takraar ki koi aawaaj nahi hoti, Bhookh ki koi jaat koi bisaat nahi hoti.