Skip to main content

Dharam aur dange!!!

Ek chhoti si ek sadak pe chal rha tha mai,
ki ek bheed ko dekh thithak gaya.
hatho me dekh bhale aur talwar mera man sisak gaya.


muje dekh un bahubaliyo ne apni bhauhe chadhai,
Mujh tak badhte unke kadam dekh chehre se udi hawai.

Ek bhare pure insaan ne meri rooh tak mujko ghoora,
Fir mudkar tilakdhari baba ko bola yh to hai insaan adhura.

Hatho me dhaga h gale me cross aur gale me tabeej,
Jaldi se bata kaun se kaum ka h tu beej.

Mene baba se bola hindu muslim ka to pata nhi,
Par kaum se mai gareeb hoon.
Ishwar allah ka mureed hoon.

Dar se gala saaf kar mene aage baat badhai,
Apne kaumi beej k sawal pe di safai.

Mandir masjid k beech chai ka thela lagata hn.
Logo se kaum puche bina unko chai pilata hoon.

Kal se dango ke karan mera dhanda thanda hai,
Par kaam pe to nikalna tha, kyuki yahi  meri roji mera dhanda hai.

Chai ke kanastar pe hath rakh kar mene kaha,
Aapke irade dekh lagta h aaj bhi khali haath ghar jana padega,


Aaj bhi mere ghar pe chulha nhi jalega.
Yeh chai ka kanastar jarur aapke kaam ayega,
Is me bhari chai se aapka mann chust ho jaega.


Chahe to aap apne shikaro ki list me mera naam jod de,
Talwar ya bhala ya is kanastar se hi mera sar phod de.


Maut mushkil ho asaan yeh aapko tay karna h,
Bachho ki bhukhi ankho ko dekhne se behtar marna hai.

Himmat kar baba ki ankhon se najre milayi aur aage badhe,
Baba ke pair jese barf me jam pade.

Baba k bande unhe  aur wo hame dekhte rahe
shayad ham unko unka aaina dikha gaye!!!

Comments

Popular posts from this blog

chhuttan ka chunaav ticket

Aaj hum sunayenge aapko chhuttan bhaiya ki katha, Netaon ki chaplusi aur band-hadtal hai inke parivar ki pratha. Sabhi pradarshano mein shamil hote, Chahe mudde se bhi wakif na hote. Ek baar to age badh kar putle ka dahan kia, Party adhyaksha ko impress karne ka risk lia. Putla jala kar mude, aur neta ji ki ankho se ankhe milayi, Neta ji ne bhi badh kar apni hateli badhayi. Chhuttan bhaiya khushi se foole nhi samaye, Socha na jane ab kab netaji ka bulawa aye. Khushi mein doston ke sath dawat udayi, Doston ne bhi chhuttan ki khub ki khichayi. Dusre din party daftar se chhuttan ko phone aya, Chhuttan ne apna khadi ka kurta chadhaya. Chhuttan ko ese roop mein dekh log dang reh gaye, Soche is gali ke gunde ke din kese fir gaye. Kurta pehan chhuttan bhaiya ne road se sansad tak ke sapne bun liye, Samne lag nai ke board par MP ki shapath padh liye. Chhuttan khayalo se nikla to wo party daftar ke samne tha, Party daftar karyakartao se...

Wo to abhi bachha hai

Jab wo chaar saal ka tha, Usne laddoo churaye. Maana wo ladakpan tha, Fir bhi use maa-baap na samjhaye. Bole wo toh man ka sachha hai, Wo to abhi bachha hai. Aath ki umar mein baap ka batua le uda, Batuye ki rakam se dosto ko film dikhayi Guthke cigarette ke liye, Chori se ki kamayi. Pata chalne par maa-baap bole, badi harkat nhi ki yeh achha hai, Sambhal jaega wo, abhi to wo bachha hai. Chaudah ki umar me, attempt to murder mein jail gya, Uska shikar hua balak, apni ek ankh se gya, Bal sudhar mein kuch waqt bita ghar pe uske kadam pade, Jang jeeti ho jese, ese maa-baap ro pade. Sambhal lo ise jab tak ghada kachha hai, Jawab mila, kya jarurat hai abhi to wo bachha hai. Aaj satrah ki umar me usne ek naari ki aabru h looti, Kaanp jae rooh esi darindagi hai failayi, Haivaniyat ke is kaand pe na baap dapta na maa chillayi, Kaanoon ke hath bandhe hai, kyuki yeh kanoon luchha h, Jo is par bhi kehta hai, use saja nhi ho sakti wo to abhi bachha h.