Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2012
Rikshewala Ameer Ho Gaya Ek din ek rikshewale k ghar pe sarkari babu aye, Adhe tute huye darwaje ko jor se khatkhataye Rikshawala dauda-dauda aya, aur sankal hatayi, Dekh kar samne suit-boot wale babu, uski buddhhi chakrayi. Usne socha ki ye shayad koi survey karne aye hai, Ya bachho ko polio ki do boond pilane aye hai. Bade aadar se usne unhe andar bulaya, Andar tooti mej aur fati chatayi dekh sarkari babu jhallaya. Bola hum baithne nahi aye hai, Bus tumse kuch sawal karne aye hai. Yeh sun ke rikshawala ghabraya, Socha ye kesa sankat hai aya. Babu ne pucha, ghar me kitne log hai, Sabhi maujud h yahan, yeh bhi kya kam sanyog hai. Babu ne charo taraf najar daudayi, To teen bachhe aur yeh h tumhari lugayi. Rikshewale ne sir hilakar hami bhari, Aur ek budhi ma hai jo khat par h padi. Babu ne pucha, mahine m kitna kama leta hai, Mai-baap mahine ka nahi, hamara to din bhar ka theka hai. Achha to din m kitna kama leta hai, Malik yeh to is par ...