Skip to main content

Rikshewala Ameer Ho Gaya

Ek din ek rikshewale k ghar pe sarkari babu aye,
Adhe tute huye darwaje ko jor se khatkhataye
Rikshawala dauda-dauda aya, aur sankal hatayi,
Dekh kar samne suit-boot wale babu, uski buddhhi chakrayi.
Usne socha ki ye shayad koi survey karne aye hai,
Ya bachho ko polio ki do boond pilane aye hai.
Bade aadar se usne unhe andar bulaya,
Andar tooti mej aur fati chatayi dekh sarkari babu jhallaya.
Bola hum baithne nahi aye hai,
Bus tumse kuch sawal karne aye hai.
Yeh sun ke rikshawala ghabraya,
Socha ye kesa sankat hai aya.
Babu ne pucha, ghar me kitne log hai,
Sabhi maujud h yahan, yeh bhi kya kam sanyog hai.
Babu ne charo taraf najar daudayi,
To teen bachhe aur yeh h tumhari lugayi.
Rikshewale ne sir hilakar hami bhari,
Aur ek budhi ma hai jo khat par h padi.
Babu ne pucha, mahine m kitna kama leta hai,
Mai-baap mahine ka nahi, hamara to din bhar ka theka hai.
Achha to din m kitna kama leta hai,
Malik yeh to is par nirbhar h ki sawari kitna deta hai.
Gol-gol batein mat bana,
jaldi se apna hisab bata.
Malik kiraya kaat ke kuch 200 rupaye mil jate hai,
Inhi peso me hum apna kharcha chalate hai.
Ghar me koi aur kaam nhi karta hai,
Maa budhi h, bachhe chhote, ghrwali ko inka khayal rakhna padta hai.
Achha to 200 rupaye har din ka, prati vyakti 33 rupaye ate hai,
Abhi tak kya aap garibi rekha mein ate hain.
Rikshewale ne sar hila kar apna BPL card dikhaya,
Use dekh babu muskuraya,
Jane kya socha, fir badbadaya,
Badhai ho bhai, ab tum garib nahi rah jaoge,
Ab tum BPL se upar uth jaoge.
Ab is kagaj pe angudha lagana,
Aur age se anaj lene sarkari ration ki dukan par mat ana.
Rikshewale ne gaur se babu ke chehre ko dekha aur bola,
Malik in 200 rupaye me kharcha badi mushkil se chalta hain,
33 rupaye me tan ko kapda, petbhar bhojan, kya sab milta hain.
Babu dapta, chup raho, kya tum sarkar se jyada jante ho,
Apne aap ko planning commission se upar mante ho.
Hamare PM ne kaha hai, 28 rupaye se upar kamane wala garib nahi hota hai,
Aur tut oh fir bhi 5 rupaye jyada kama leta hai.
Yeh sun kar us garib ki ankho se aansu tapak pade,
Anghudhe ki chhap le babu dusre ghar chal pade.
Kamre ke beech betha garib darwaje ko takat rah gaya,
Dukh tha use, aaj wo amir ho gaya.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Wo to abhi bachha hai

Jab wo chaar saal ka tha, Usne laddoo churaye. Maana wo ladakpan tha, Fir bhi use maa-baap na samjhaye. Bole wo toh man ka sachha hai, Wo to abhi bachha hai. Aath ki umar mein baap ka batua le uda, Batuye ki rakam se dosto ko film dikhayi Guthke cigarette ke liye, Chori se ki kamayi. Pata chalne par maa-baap bole, badi harkat nhi ki yeh achha hai, Sambhal jaega wo, abhi to wo bachha hai. Chaudah ki umar me, attempt to murder mein jail gya, Uska shikar hua balak, apni ek ankh se gya, Bal sudhar mein kuch waqt bita ghar pe uske kadam pade, Jang jeeti ho jese, ese maa-baap ro pade. Sambhal lo ise jab tak ghada kachha hai, Jawab mila, kya jarurat hai abhi to wo bachha hai. Aaj satrah ki umar me usne ek naari ki aabru h looti, Kaanp jae rooh esi darindagi hai failayi, Haivaniyat ke is kaand pe na baap dapta na maa chillayi, Kaanoon ke hath bandhe hai, kyuki yeh kanoon luchha h, Jo is par bhi kehta hai, use saja nhi ho sakti wo to abhi bachha h.