Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2013

Andhbhakt

Yeh kahani hai meri ek bua ki, Jo ki Eeshwar par aseem shraddha rakhti hai, Hafte me chaar din upvaas , do din maun vrat, esi unki bhakti hai. Somwaar se Shanivar, unka apna hi timetable hota hai, Subah 4 baje se uth ke karti puja path, jab sara jag sota hai. 33 crore devi-devtao ke naam jabaan par ratte hain, Hamse to chemistry ke teen formulae bhi nahi pate hain. Desh ke sabhi saadhu santo ki puja yeh karti hain, Keh do in sadhuo ko kuch bhi, to muh se aag ugalti hain. Ek din buaji ek naye baba ki tasveer ghar layi, Boli Sharma ji ke gharwalo ne inse hi krupa payi. Jab bua thi baba ke Pooja mein magan, Hamne Google baba ka aashirvad liya, Aur ghar pe baithe baithe, baba ka kora chittha khulwa diya. Bua ko bulakar bole, dekho yeh inki sachhai hain, Tasveer mein dikh rahi bikini babe nahi inki lugayi hain. Inke bank account mein, tumhari 33 crore devi devtaon se jyada ki sampatti hai, Kaha se aya itna