Skip to main content

Posts

Showing posts from 2015

Gharwapasi!!!

Kal shaam jab ham chai ki tapri par ham cigarette sulga rahe the, Ramdas ji us chhote se news house ki shobha badha rahe the.  Aaj ka mudda tha, gharwapasi,  Sab ne apna paksha rakha aur hua vichar manthan,  Ramdas ji bole, Bhaiya yeh Bada hi gambhir mudda jispar hoga chintan. Itne salo se Hamne mehnat kar yh ghar hai banaya, To kya AB in ke raaj me hoga hamara safaya. Sare shor sharabe k beech Ramadas ji Bina tie k Arnab najar aa rahe the, Dikhe bhale na Arnab jese par shor to utna hi macha rahe the.  Sare ho Halle ke beech ek chacha ne apna aapa kho dia, Bole kal to had hi ho gayi, kal usne mujhe kutte ki tarah dho dia.  Us par tilakdhari maharaj bole, ham apke saath puri santavana prakat karte hai,  Hamari chai khatam hui , AB ham glass table pe dharte hai. Mr. Fernandes  ne sabke upay k liye ek sujhav rakha, Ghar wapasi ki sharte nischit ho, iske bare me kya khayal hai,  Kese ho gharwapasi yahi to Sara bawal hai.  Sab ne haan me haan milayi, P

Us Bachhe ki Siskiya

Us bachhe ki siskiya!!! Maa aaj muje school nahi Jana, Chhote se monu ne aaj subah siskia bhari. Kya hua bachhe, homework na kar paane ka h Fir se yh bahana. Maa school k log bahut kharab hai, Muje waha achha nahi lagta, School Jane k dar se mai sari raat hoon jagta. Bachhe Aage badhne k liye tumhe padhna to padega hi, Nahi to tum peeche rah jaoge, Fir Aage papa jese kese ban paoge. Maa mai aap KO apni baat kese samjhau, Chhodo aap nahi samajh paoge, Sab sunkar mujse kese najar milaoge. Bhari man se bhari basta girte girte sambhala Lunch box liye bager hi school k liye nikal pada, Bhook nhi hogi bachhe KO yh soch Maa KO bhi na fark pada. Shaam KO teacher ne phone kar Maa KO khoob khari koti sunayi, Homework na kar pane par karni hogi bharpayi. Gusse se aagbaboola maa, ne baap se najre milayi, Hamare monu ki teacher ne aaj muje dapat lagayi. Aajkal monu ka man padhai me nahi lag raha hai, Jese kisi galat sangat me pal raha hai. Baap ne kisi ki