Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2012
Manjile hai bahut, Aur raste bhi. Jindagi jeene ke falsafe bhi. Kisi ko milta yaha bahut kuch, Aur kisi ke hatho mein mushkile bhi. Koi khushiyon batata hai yaha, To kisi ki ankho me palte hai khwab bhi. Kisi ke hote hai sapne pure, To kisi ki ankho mein palte hai khwab bhi. Koi mitata hai apno par, To kisi ko naseeb nahi apno ka sath bhi. Mil jaye gar apna koi, Gum jata hai bheed main kahin. Kisi ki barat mein khush hone ko mil jate hai hajaro, To kisi ke janaje ko nahi milte chaar kandhe bhi. Kisi ko bhukh hai ek niwale k, Mil jata hai use mej-o- darokht par khana, Sath mein shano-o shaukat ke liye sharab bhi. Bhookhe pet pade gareeb ko nahi milti do jun ki roti, Tan ko kapda ki kya bisaat, yaha nahi milta pyaas bujhane ko aab bhi. Pairo mein pehene jane wale juto ke liye hai shamiyana lagaya, Jara gaur se dekho yaha lakho ko naseeb nahi fati juraab bhi. Yaha gairo ke liye rakhi jati hai dawat, Jaha budhe maa-baap