Skip to main content

Manjile hai bahut,
Aur raste bhi.
Jindagi jeene ke falsafe bhi.

Kisi ko milta yaha bahut kuch,
Aur kisi ke hatho mein mushkile bhi.

Koi khushiyon batata hai yaha,
To kisi ki ankho me palte hai khwab bhi.

Kisi ke hote hai sapne pure,
To kisi ki ankho mein palte hai khwab bhi.

Koi mitata hai apno par,
To kisi ko naseeb nahi apno ka sath bhi.

Mil jaye gar apna koi,
Gum jata hai bheed main kahin.

Kisi ki barat mein khush hone ko mil jate hai hajaro,
To kisi ke janaje ko nahi milte chaar kandhe bhi.

Kisi ko bhukh hai ek niwale k,
Mil jata hai use mej-o- darokht par khana,
Sath mein shano-o shaukat ke liye sharab bhi.


Bhookhe pet pade gareeb ko nahi milti do jun ki roti,
Tan ko kapda ki kya bisaat, yaha nahi milta pyaas bujhane ko aab bhi.

Pairo mein pehene jane wale juto ke liye hai shamiyana lagaya,
Jara gaur se dekho yaha lakho ko naseeb nahi fati juraab bhi.

Yaha gairo ke liye rakhi jati hai dawat,
Jaha budhe maa-baap ko milta nahi kal ka baasi anaj bhi.

Yeh desh hai mera, jahan kagaj ki patango ko goli se udane par milti hai lakho-karodo ki numayish,
Wahi jinda dushmano ki goli khane walo ko nahi milta samman bhi.

Jindagi me sab kuch pane walo ko milta hai kai guna inaam,
Wahi jang mein sab kuch mita dene walo ko milta nahi anjaam bhi.

Desh ke bahar bante jate hai karodo,
Jaha desh ke bashindo ko ghar mein hi nahi milta insaaf bhi.

Desh ke dushmano, katilo ko milti hai hifajat yahan,
Wahi ghar ki bahu-betiyon ki bachti nahi yahan laaj bhi.

Mulk ki hifajat ki baat yahan kya kare,
Jab desh ke dushmano ke hatho bik jati hai sarkar bhi.

Vishwa ke sabse yuva desh hone ke khitaab se kya hota hai,
Jab desh ko mahan banana ke liye milte nahi 100 hath bhi.

Comments

Popular posts from this blog

Rikshewala Ameer Ho Gaya Ek din ek rikshewale k ghar pe sarkari babu aye, Adhe tute huye darwaje ko jor se khatkhataye Rikshawala dauda-dauda aya, aur sankal hatayi, Dekh kar samne suit-boot wale babu, uski buddhhi chakrayi. Usne socha ki ye shayad koi survey karne aye hai, Ya bachho ko polio ki do boond pilane aye hai. Bade aadar se usne unhe andar bulaya, Andar tooti mej aur fati chatayi dekh sarkari babu jhallaya. Bola hum baithne nahi aye hai, Bus tumse kuch sawal karne aye hai. Yeh sun ke rikshawala ghabraya, Socha ye kesa sankat hai aya. Babu ne pucha, ghar me kitne log hai, Sabhi maujud h yahan, yeh bhi kya kam sanyog hai. Babu ne charo taraf najar daudayi, To teen bachhe aur yeh h tumhari lugayi. Rikshewale ne sir hilakar hami bhari, Aur ek budhi ma hai jo khat par h padi. Babu ne pucha, mahine m kitna kama leta hai, Mai-baap mahine ka nahi, hamara to din bhar ka theka hai. Achha to din m kitna kama leta hai, Malik yeh to is par
A blind man in the bus stop. That was a sunny day, a Monday morning with sweet zephyr, The bus stop crowded with the white collared people, the color going well with the weather. To the corner of the stall there stood a man with stick in his hand, Eyes blindfolded as if harry potter wielding his magic wand. He waited for a while then tried crossing the road,   Taking one step front and two back as a hopping toad. I looked at him silently, as a passive onlooker, I had to reach my place and play snooker. The blind man called people and pleaded them, Help me cross the road and get over this mayhem. I thought helping him, then decided against, Remembering the morning news that gave me  a bad taste. A blind man snatching a woman's chain made into page six, What to do or not, i was in a fix. Thinking deeply into the matter I got lost, Peasants came and gone ignoring the unfortunate chap, I couldn’t blame others as i too didn’

Wo to abhi bachha hai

Jab wo chaar saal ka tha, Usne laddoo churaye. Maana wo ladakpan tha, Fir bhi use maa-baap na samjhaye. Bole wo toh man ka sachha hai, Wo to abhi bachha hai. Aath ki umar mein baap ka batua le uda, Batuye ki rakam se dosto ko film dikhayi Guthke cigarette ke liye, Chori se ki kamayi. Pata chalne par maa-baap bole, badi harkat nhi ki yeh achha hai, Sambhal jaega wo, abhi to wo bachha hai. Chaudah ki umar me, attempt to murder mein jail gya, Uska shikar hua balak, apni ek ankh se gya, Bal sudhar mein kuch waqt bita ghar pe uske kadam pade, Jang jeeti ho jese, ese maa-baap ro pade. Sambhal lo ise jab tak ghada kachha hai, Jawab mila, kya jarurat hai abhi to wo bachha hai. Aaj satrah ki umar me usne ek naari ki aabru h looti, Kaanp jae rooh esi darindagi hai failayi, Haivaniyat ke is kaand pe na baap dapta na maa chillayi, Kaanoon ke hath bandhe hai, kyuki yeh kanoon luchha h, Jo is par bhi kehta hai, use saja nhi ho sakti wo to abhi bachha h.