Aaj hum sunayenge aapko chhuttan bhaiya ki katha, Netaon ki chaplusi aur band-hadtal hai inke parivar ki pratha. Sabhi pradarshano mein shamil hote, Chahe mudde se bhi wakif na hote. Ek baar to age badh kar putle ka dahan kia, Party adhyaksha ko impress karne ka risk lia. Putla jala kar mude, aur neta ji ki ankho se ankhe milayi, Neta ji ne bhi badh kar apni hateli badhayi. Chhuttan bhaiya khushi se foole nhi samaye, Socha na jane ab kab netaji ka bulawa aye. Khushi mein doston ke sath dawat udayi, Doston ne bhi chhuttan ki khub ki khichayi. Dusre din party daftar se chhuttan ko phone aya, Chhuttan ne apna khadi ka kurta chadhaya. Chhuttan ko ese roop mein dekh log dang reh gaye, Soche is gali ke gunde ke din kese fir gaye. Kurta pehan chhuttan bhaiya ne road se sansad tak ke sapne bun liye, Samne lag nai ke board par MP ki shapath padh liye. Chhuttan khayalo se nikla to wo party daftar ke samne tha, Party daftar karyakartao se...