Skip to main content

chhuttan ka chunaav ticket


Aaj hum sunayenge aapko chhuttan bhaiya ki katha,
Netaon ki chaplusi aur band-hadtal hai inke parivar ki pratha.

Sabhi pradarshano mein shamil hote,
Chahe mudde se bhi wakif na hote.

Ek baar to age badh kar putle ka dahan kia,
Party adhyaksha ko impress karne ka risk lia.

Putla jala kar mude, aur neta ji ki ankho se ankhe milayi,
Neta ji ne bhi badh kar apni hateli badhayi.

Chhuttan bhaiya khushi se foole nhi samaye,
Socha na jane ab kab netaji ka bulawa aye.

Khushi mein doston ke sath dawat udayi,
Doston ne bhi chhuttan ki khub ki khichayi.

Dusre din party daftar se chhuttan ko phone aya,
Chhuttan ne apna khadi ka kurta chadhaya.

Chhuttan ko ese roop mein dekh log dang reh gaye,
Soche is gali ke gunde ke din kese fir gaye.

Kurta pehan chhuttan bhaiya ne road se sansad tak ke sapne bun liye,
Samne lag nai ke board par MP ki shapath padh liye.

Chhuttan khayalo se nikla to wo party daftar ke samne tha,
Party daftar karyakartao se khachakhach bhara tha.

Adhyaksha ke andar bulane par chhuttan fool ana samaya,
Ab to hume bhi milegi neta ji ki chhatra-chhaya.

Shayad agle mahine hone wale chunaav ka ticket milega,
Ab to chhuttan ke naam ka hi danka bajega.

Kamre ke andar ghuste hi netaji ne chhuttan ko ek ajnabi se milaya,
Chhuttan ne bhi bade aadar se unse haath milaya.

Netaji bole jesa sath mera dia, ab inke sath bhi nibhana hai,
Aapko puri lagan se inhe agla chunaav jitana hai.

Chhuttan ki itne dino ki mehnat par pani fir gaya,
Jab chunaav ka ticket netaji ke naye navele bĂȘte ko mil gaya.

Comments

Popular posts from this blog

Rikshewala Ameer Ho Gaya Ek din ek rikshewale k ghar pe sarkari babu aye, Adhe tute huye darwaje ko jor se khatkhataye Rikshawala dauda-dauda aya, aur sankal hatayi, Dekh kar samne suit-boot wale babu, uski buddhhi chakrayi. Usne socha ki ye shayad koi survey karne aye hai, Ya bachho ko polio ki do boond pilane aye hai. Bade aadar se usne unhe andar bulaya, Andar tooti mej aur fati chatayi dekh sarkari babu jhallaya. Bola hum baithne nahi aye hai, Bus tumse kuch sawal karne aye hai. Yeh sun ke rikshawala ghabraya, Socha ye kesa sankat hai aya. Babu ne pucha, ghar me kitne log hai, Sabhi maujud h yahan, yeh bhi kya kam sanyog hai. Babu ne charo taraf najar daudayi, To teen bachhe aur yeh h tumhari lugayi. Rikshewale ne sir hilakar hami bhari, Aur ek budhi ma hai jo khat par h padi. Babu ne pucha, mahine m kitna kama leta hai, Mai-baap mahine ka nahi, hamara to din bhar ka theka hai. Achha to din m kitna kama leta hai, Malik yeh to is par
A blind man in the bus stop. That was a sunny day, a Monday morning with sweet zephyr, The bus stop crowded with the white collared people, the color going well with the weather. To the corner of the stall there stood a man with stick in his hand, Eyes blindfolded as if harry potter wielding his magic wand. He waited for a while then tried crossing the road,   Taking one step front and two back as a hopping toad. I looked at him silently, as a passive onlooker, I had to reach my place and play snooker. The blind man called people and pleaded them, Help me cross the road and get over this mayhem. I thought helping him, then decided against, Remembering the morning news that gave me  a bad taste. A blind man snatching a woman's chain made into page six, What to do or not, i was in a fix. Thinking deeply into the matter I got lost, Peasants came and gone ignoring the unfortunate chap, I couldn’t blame others as i too didn’

Wo to abhi bachha hai

Jab wo chaar saal ka tha, Usne laddoo churaye. Maana wo ladakpan tha, Fir bhi use maa-baap na samjhaye. Bole wo toh man ka sachha hai, Wo to abhi bachha hai. Aath ki umar mein baap ka batua le uda, Batuye ki rakam se dosto ko film dikhayi Guthke cigarette ke liye, Chori se ki kamayi. Pata chalne par maa-baap bole, badi harkat nhi ki yeh achha hai, Sambhal jaega wo, abhi to wo bachha hai. Chaudah ki umar me, attempt to murder mein jail gya, Uska shikar hua balak, apni ek ankh se gya, Bal sudhar mein kuch waqt bita ghar pe uske kadam pade, Jang jeeti ho jese, ese maa-baap ro pade. Sambhal lo ise jab tak ghada kachha hai, Jawab mila, kya jarurat hai abhi to wo bachha hai. Aaj satrah ki umar me usne ek naari ki aabru h looti, Kaanp jae rooh esi darindagi hai failayi, Haivaniyat ke is kaand pe na baap dapta na maa chillayi, Kaanoon ke hath bandhe hai, kyuki yeh kanoon luchha h, Jo is par bhi kehta hai, use saja nhi ho sakti wo to abhi bachha h.