Yeh kahani hai
meri ek bua ki,
Jo ki Eeshwar
par aseem shraddha rakhti hai,
Hafte me chaar
din upvaas , do din maun vrat, esi unki bhakti hai.
Somwaar se
Shanivar, unka apna hi timetable hota hai,
Subah 4 baje se
uth ke karti puja path, jab sara jag sota hai.
33 crore
devi-devtao ke naam jabaan par ratte hain,
Hamse to
chemistry ke teen formulae bhi nahi pate hain.
Desh ke sabhi
saadhu santo ki puja yeh karti hain,
Keh do in sadhuo
ko kuch bhi, to muh se aag ugalti hain.
Ek din buaji ek
naye baba ki tasveer ghar layi,
Boli Sharma ji
ke gharwalo ne inse hi krupa payi.
Jab bua thi baba
ke Pooja mein magan,
Hamne Google
baba ka aashirvad liya,
Aur ghar pe
baithe baithe, baba ka kora chittha khulwa diya.
Bua ko bulakar
bole, dekho yeh inki sachhai hain,
Tasveer mein
dikh rahi bikini babe nahi inki lugayi hain.
Inke bank
account mein, tumhari 33 crore devi devtaon se jyada ki sampatti hai,
Kaha se aya itna
dhan, ispe income tax walo ko bhi appatti hain.
Bua boli, tu toh
naastik hain, tuje kya pata baba kitne chamatkaari hai,
Sham ko hi TV
par news ayi, yeh baba to balatkari hain.
Hamne TV ko
dekha, fir bua ki taraf najar ghumayi,
Bua baithi thi
najre neeche thodi sakuchayi.
Turant uth kar
bua ne baba ki photo ko phaad diya,
Sharma ji ke
liye apshabdo ke saath fir kisi pe shraddha na karne ka than liya.
Kuch dino baad, jab ham TV par cricket match dekh
rahe the,
Bua muskurate
huye ayi aur hamare haath se remote chheen liya,
Boli falaane-falaane
channel kis number pe ate hain,
Is waqt yeh log
baba ka jail se hi saakshaat darshan karwate hain.
Comments
Post a Comment