Maa aaj muje aane me jara der ho jaegi, Pata nhi aaj kudrat muj par kesa qahar dhayegi. Maa yahan raste pe ghana andhera hai, Samne ek bijli ke pole ko logo ka ghera hai. Maa unhe dekh kar mera ji ghabra raha, Aaspaas to koi aur hai hi nahi yaha. Dabe paao mai aage badhi jaa rahi hoon, Bas agle mod pahuch jaaoon mann hi mann mana rahi hoon. Khuda ka shukra hai, ghar saamne hi dikh raha hai, Par yeh kya koi mera peecha kar raha hai. Maa tu jara chaukhat pe aa jaa, Thodi himmat bandh jaegi, Jane yh insaniyat aaj kesa kahar dhaegi. Shayad peechha karne wala bhi agne ghar ja rha hoga, Yahi soch kar m dil ko tassali de rahi hoon, Par chehre se tapakte paseene k beech mann hi mann ro rahi hoon. Maa ab to yeh aage aa ke mera rasta rok raha hai, Abhi samne dikhne wala mera ghar jane kaha hai. Muje jaane do bhai esi mene fariyad ki, Mann hi mann mene isht dev ki shakal yaad ki. Saamne khada rakshas mujh par dahad maar kar hasa, Uski bhayanak kaya dekh kar ...