Skip to main content

Dharam aur dange!!!

Ek chhoti si ek sadak pe chal rha tha mai,
ki ek bheed ko dekh thithak gaya.
hatho me dekh bhale aur talwar mera man sisak gaya.


muje dekh un bahubaliyo ne apni bhauhe chadhai,
Mujh tak badhte unke kadam dekh chehre se udi hawai.

Ek bhare pure insaan ne meri rooh tak mujko ghoora,
Fir mudkar tilakdhari baba ko bola yh to hai insaan adhura.

Hatho me dhaga h gale me cross aur gale me tabeej,
Jaldi se bata kaun se kaum ka h tu beej.

Mene baba se bola hindu muslim ka to pata nhi,
Par kaum se mai gareeb hoon.
Ishwar allah ka mureed hoon.

Dar se gala saaf kar mene aage baat badhai,
Apne kaumi beej k sawal pe di safai.

Mandir masjid k beech chai ka thela lagata hn.
Logo se kaum puche bina unko chai pilata hoon.

Kal se dango ke karan mera dhanda thanda hai,
Par kaam pe to nikalna tha, kyuki yahi  meri roji mera dhanda hai.

Chai ke kanastar pe hath rakh kar mene kaha,
Aapke irade dekh lagta h aaj bhi khali haath ghar jana padega,


Aaj bhi mere ghar pe chulha nhi jalega.
Yeh chai ka kanastar jarur aapke kaam ayega,
Is me bhari chai se aapka mann chust ho jaega.


Chahe to aap apne shikaro ki list me mera naam jod de,
Talwar ya bhala ya is kanastar se hi mera sar phod de.


Maut mushkil ho asaan yeh aapko tay karna h,
Bachho ki bhukhi ankho ko dekhne se behtar marna hai.

Himmat kar baba ki ankhon se najre milayi aur aage badhe,
Baba ke pair jese barf me jam pade.

Baba k bande unhe  aur wo hame dekhte rahe
shayad ham unko unka aaina dikha gaye!!!

Comments

Popular posts from this blog

Day of Love

It was a bright sunny morning, I woke up after a late night chat with my lady love. Suddenly at 11:00 am she called me and said she was going home, she didn’t tell me the reason rather I didn’t let her speak as the news spoilt our date plan. We used to stay in the town of Bhopal, whereas her home was at Indore, which is at a distance of 200 kms from Bhopal. I immediately got up and without doing my chores, I rushed towards the bus stand. There she was, pretty as always, bathed in bright sunlight. Seeing her, I fell in love with her again. At the very moment, I thought of embracing her with all my love for her. With a bit of thought, I decided against as I have to portray my anger. I didn’t speak to her, just stood beside, observing the surroundings, accidently touching her hand every now and then. Hardly a moment has passed, the bus arrived and she left. When I reached home on my bike, I checked my phone, which read 10 missed calls and an SMS. All were  from her. The message read...

A tribute to all rape victims

Maa aaj muje aane me jara der ho jaegi, Pata nhi aaj kudrat muj par kesa qahar dhayegi. Maa yahan raste pe ghana andhera hai, Samne ek bijli ke pole ko logo ka ghera hai. Maa unhe dekh kar mera ji ghabra raha, Aaspaas to koi aur hai hi nahi yaha. Dabe paao mai aage badhi jaa rahi hoon, Bas agle mod pahuch jaaoon mann hi mann mana rahi hoon. Khuda ka shukra hai, ghar saamne hi dikh raha hai, Par yeh kya koi mera peecha kar raha hai. Maa tu jara chaukhat pe aa jaa, Thodi himmat bandh jaegi, Jane yh insaniyat aaj kesa kahar dhaegi. Shayad  peechha karne wala bhi agne ghar ja rha hoga, Yahi soch kar m dil ko tassali de rahi hoon, Par chehre se tapakte paseene k beech mann hi mann ro rahi hoon. Maa ab to yeh aage aa ke mera rasta rok raha hai, Abhi samne dikhne wala mera ghar jane kaha hai. Muje jaane do bhai esi mene fariyad ki, Mann hi mann mene isht dev ki shakal yaad ki. Saamne khada rakshas mujh par dahad maar kar hasa, Uski bhayanak kaya dekh kar ...

Wo to abhi bachha hai

Jab wo chaar saal ka tha, Usne laddoo churaye. Maana wo ladakpan tha, Fir bhi use maa-baap na samjhaye. Bole wo toh man ka sachha hai, Wo to abhi bachha hai. Aath ki umar mein baap ka batua le uda, Batuye ki rakam se dosto ko film dikhayi Guthke cigarette ke liye, Chori se ki kamayi. Pata chalne par maa-baap bole, badi harkat nhi ki yeh achha hai, Sambhal jaega wo, abhi to wo bachha hai. Chaudah ki umar me, attempt to murder mein jail gya, Uska shikar hua balak, apni ek ankh se gya, Bal sudhar mein kuch waqt bita ghar pe uske kadam pade, Jang jeeti ho jese, ese maa-baap ro pade. Sambhal lo ise jab tak ghada kachha hai, Jawab mila, kya jarurat hai abhi to wo bachha hai. Aaj satrah ki umar me usne ek naari ki aabru h looti, Kaanp jae rooh esi darindagi hai failayi, Haivaniyat ke is kaand pe na baap dapta na maa chillayi, Kaanoon ke hath bandhe hai, kyuki yeh kanoon luchha h, Jo is par bhi kehta hai, use saja nhi ho sakti wo to abhi bachha h.