Skip to main content

Us Bachhe ki Siskiya

Us bachhe ki siskiya!!!

Maa aaj muje school nahi Jana,
Chhote se monu ne aaj subah siskia bhari.
Kya hua bachhe, homework na kar paane ka h Fir se yh bahana.



Maa school k log bahut kharab hai,
Muje waha achha nahi lagta,
School Jane k dar se mai sari raat hoon jagta.



Bachhe Aage badhne k liye tumhe padhna to padega hi,
Nahi to tum peeche rah jaoge,
Fir Aage papa jese kese ban paoge.


Maa mai aap KO apni baat kese samjhau,
Chhodo aap nahi samajh paoge,
Sab sunkar mujse kese najar milaoge.


Bhari man se bhari basta girte girte sambhala
Lunch box liye bager hi school k liye nikal pada,
Bhook nhi hogi bachhe KO yh soch Maa KO bhi na fark pada.


Shaam KO teacher ne phone kar Maa KO khoob khari koti sunayi,
Homework na kar pane par karni hogi bharpayi.



Gusse se aagbaboola maa, ne baap se najre milayi,
Hamare monu ki teacher ne aaj muje dapat lagayi.


Aajkal monu ka man padhai me nahi lag raha hai,
Jese kisi galat sangat me pal raha hai.


Baap ne kisi ki naa suni aur monu par hi baras pade,
Khabardaar agar AB teacher k shabd hamare kaano me pade.



Golu Nam aankho se Apne kamre me chal pada,
Dard se karahta hua monu agle din k yaatna k liye taiyar tha,
Is baat ka hamdard na koi dost na koi yaar tha.


Jab ma papa hi nhi smjhte to koi aur kya samjhega,
Kisi aur KO bolu to har koi mujpe hasega.
Yeh soch monu dard har din har pal sehta gaya,
Khatam kar li apni jindagi jab aur na saha gaya.


Bachhe ki laash dekh maa bilakh bilakh k ro padi,
Papa, Bhai, pati sab par apna aapa kho padi.


Jab monu ki chitthi khuli tab sab k aankhein fati rah gayi,
Nahi samjhi baat uski pyaar me yahi kami rah gayi.


Dusre din maa baap ne dharna pradarshan chalu kia,
Saath me media aur rajniti ka bhi saath lia.


Wo darinda to farar tha, aur school k paas naa koi jawab tha,
Us darinde aur school k saath monu ki maut me maa baap ka bhi haath tha.


Us masoom ki siskiyo me chhupa ek dard tha,
Par maa baap ka rukh Bada hi sard tha,
Suni  hoti uski siskiya to aaj uski hasi chhanak rahi hoti,
Aaj is makaan me sannate ki goonj naa hoti.

Comments

Popular posts from this blog

Rikshewala Ameer Ho Gaya Ek din ek rikshewale k ghar pe sarkari babu aye, Adhe tute huye darwaje ko jor se khatkhataye Rikshawala dauda-dauda aya, aur sankal hatayi, Dekh kar samne suit-boot wale babu, uski buddhhi chakrayi. Usne socha ki ye shayad koi survey karne aye hai, Ya bachho ko polio ki do boond pilane aye hai. Bade aadar se usne unhe andar bulaya, Andar tooti mej aur fati chatayi dekh sarkari babu jhallaya. Bola hum baithne nahi aye hai, Bus tumse kuch sawal karne aye hai. Yeh sun ke rikshawala ghabraya, Socha ye kesa sankat hai aya. Babu ne pucha, ghar me kitne log hai, Sabhi maujud h yahan, yeh bhi kya kam sanyog hai. Babu ne charo taraf najar daudayi, To teen bachhe aur yeh h tumhari lugayi. Rikshewale ne sir hilakar hami bhari, Aur ek budhi ma hai jo khat par h padi. Babu ne pucha, mahine m kitna kama leta hai, Mai-baap mahine ka nahi, hamara to din bhar ka theka hai. Achha to din m kitna kama leta hai, Malik yeh to is par

Wo to abhi bachha hai

Jab wo chaar saal ka tha, Usne laddoo churaye. Maana wo ladakpan tha, Fir bhi use maa-baap na samjhaye. Bole wo toh man ka sachha hai, Wo to abhi bachha hai. Aath ki umar mein baap ka batua le uda, Batuye ki rakam se dosto ko film dikhayi Guthke cigarette ke liye, Chori se ki kamayi. Pata chalne par maa-baap bole, badi harkat nhi ki yeh achha hai, Sambhal jaega wo, abhi to wo bachha hai. Chaudah ki umar me, attempt to murder mein jail gya, Uska shikar hua balak, apni ek ankh se gya, Bal sudhar mein kuch waqt bita ghar pe uske kadam pade, Jang jeeti ho jese, ese maa-baap ro pade. Sambhal lo ise jab tak ghada kachha hai, Jawab mila, kya jarurat hai abhi to wo bachha hai. Aaj satrah ki umar me usne ek naari ki aabru h looti, Kaanp jae rooh esi darindagi hai failayi, Haivaniyat ke is kaand pe na baap dapta na maa chillayi, Kaanoon ke hath bandhe hai, kyuki yeh kanoon luchha h, Jo is par bhi kehta hai, use saja nhi ho sakti wo to abhi bachha h.