Skip to main content

Gharwapasi!!!

Kal shaam jab ham chai ki tapri par ham cigarette sulga rahe the,
Ramdas ji us chhote se news house ki shobha badha rahe the.



 Aaj ka mudda tha, gharwapasi,
 Sab ne apna paksha rakha aur hua vichar manthan,
 Ramdas ji bole, Bhaiya yeh Bada hi gambhir mudda jispar hoga chintan.



Itne salo se Hamne mehnat kar yh ghar hai banaya,
To kya AB in ke raaj me hoga hamara safaya.



Sare shor sharabe k beech Ramadas ji Bina tie k Arnab najar aa rahe the,
Dikhe bhale na Arnab jese par shor to utna hi macha rahe the.



 Sare ho Halle ke beech ek chacha ne apna aapa kho dia,
Bole kal to had hi ho gayi, kal usne mujhe kutte ki tarah dho dia.



 Us par tilakdhari maharaj bole, ham apke saath puri santavana prakat karte hai,
 Hamari chai khatam hui , AB ham glass table pe dharte hai.



Mr. Fernandes  ne sabke upay k liye ek sujhav rakha,
Ghar wapasi ki sharte nischit ho, iske bare me kya khayal hai,
 Kese ho gharwapasi yahi to Sara bawal hai.



 Sab ne haan me haan milayi,
Par Mishra ji bifar pade,
Ghar hamara, log hamare, Fir ghar wapasi pe kyu shart lagaye,
 Is se achha to ham jabarjasti ghar wapasi karaye.



Itna kehna tha mishra ji ka, ki Khan chacha ka gussa foot pada,
 Jo glass table pe tha AB jameen par tha toota pada.



Bole Miya tumhare sharte Jo bhi Hame to ghar wapasi Karna h,
 Tumhara Jo bhi ho Hame to kisi se nhi darnaa h.



Yh sunna tha ki Ramdas ji ka Arnab bahar  aya,
 Khan chacha KO beech me hi ROK kar khoob sunaya.



 Aap jese logo k Karan ham logo me ekta nhi reh paati h,
 Iska hi to yeh sari partiya fayda uthati h.



 Hullad badh gaya, AB kisi ki awaaj ka pata nhi tha,
Ho Halle me na jaane ramdas kahan gira tha.



 Baat haath se nikalte dekh Hamne beech bachav kia,
 Ramdas KO dhoond usko paani diya.



 Khan sahab, fernandes aur tilakdhari maharaj ka gussa jab thoda Thanda ho gya,
Asli mudda to jese kahi bheed me kho gya.



 Aap Ese ladenge to kahi dange na ho Jaye,
Esi hamne fariyad ki,
Yeh sun un  logo ne god Allah aur bhagwan ki yaad ki.




 Miya dange kyu honge, yeh hamare ghar ka mamla hai,
Hamara to niji taur par na koi mukabla hai.



 To Bhai yeh gharwapasi ka kya bawal hai,
 Yeh desh k Samne bahut Bada sawal hai,



Fernandes bole, Bhai ham to Apne ghar wapas Jana chahte h,
 Biwiyo k darr se is tapri pe apna samay bitate h.



Daaru utar jaane ka intejaar yaha chai pee k karte h,
Kya kare Bhai biwi k darr se ham gharwapasi se darte  hai.

Comments

Popular posts from this blog

Rikshewala Ameer Ho Gaya Ek din ek rikshewale k ghar pe sarkari babu aye, Adhe tute huye darwaje ko jor se khatkhataye Rikshawala dauda-dauda aya, aur sankal hatayi, Dekh kar samne suit-boot wale babu, uski buddhhi chakrayi. Usne socha ki ye shayad koi survey karne aye hai, Ya bachho ko polio ki do boond pilane aye hai. Bade aadar se usne unhe andar bulaya, Andar tooti mej aur fati chatayi dekh sarkari babu jhallaya. Bola hum baithne nahi aye hai, Bus tumse kuch sawal karne aye hai. Yeh sun ke rikshawala ghabraya, Socha ye kesa sankat hai aya. Babu ne pucha, ghar me kitne log hai, Sabhi maujud h yahan, yeh bhi kya kam sanyog hai. Babu ne charo taraf najar daudayi, To teen bachhe aur yeh h tumhari lugayi. Rikshewale ne sir hilakar hami bhari, Aur ek budhi ma hai jo khat par h padi. Babu ne pucha, mahine m kitna kama leta hai, Mai-baap mahine ka nahi, hamara to din bhar ka theka hai. Achha to din m kitna kama leta hai, Malik yeh to is par

Wo to abhi bachha hai

Jab wo chaar saal ka tha, Usne laddoo churaye. Maana wo ladakpan tha, Fir bhi use maa-baap na samjhaye. Bole wo toh man ka sachha hai, Wo to abhi bachha hai. Aath ki umar mein baap ka batua le uda, Batuye ki rakam se dosto ko film dikhayi Guthke cigarette ke liye, Chori se ki kamayi. Pata chalne par maa-baap bole, badi harkat nhi ki yeh achha hai, Sambhal jaega wo, abhi to wo bachha hai. Chaudah ki umar me, attempt to murder mein jail gya, Uska shikar hua balak, apni ek ankh se gya, Bal sudhar mein kuch waqt bita ghar pe uske kadam pade, Jang jeeti ho jese, ese maa-baap ro pade. Sambhal lo ise jab tak ghada kachha hai, Jawab mila, kya jarurat hai abhi to wo bachha hai. Aaj satrah ki umar me usne ek naari ki aabru h looti, Kaanp jae rooh esi darindagi hai failayi, Haivaniyat ke is kaand pe na baap dapta na maa chillayi, Kaanoon ke hath bandhe hai, kyuki yeh kanoon luchha h, Jo is par bhi kehta hai, use saja nhi ho sakti wo to abhi bachha h.