Skip to main content

Posts

Sanak

Zindagi me kuch ho na ho sanak honi chahiye, Sapne ankho me aur kano me unki khanak honi chahiye.   Jab tak log na hase tum par, tumhare sapne bade nahi, Jo hakikat na lage, wo sapne hi hai sahi.   Chaar logo ki baat kano pe padni chahiye, Kuch to fusfusahat ho, esi karni chahiye.   Duniya se khud ki ladayi khud hi ladni chahiye, Zindagi me kuch ho na ho sanak honi chahiye.
Recent posts

The uncompromising beggar

This I am writing because I am not able to decipher which party is right, and which is wrong. One fine day, during rains, enroute office, I was stucked in a jam. Though the rain subsided, the jam still persisted due to some mishap in the highway. I was travelling in an ST bus, looking out trying to understand what's the problem and how much time will it take for me to reach the office. As I was looking out, I saw an Audi standing still in the middle of the jam, there entered a beggar in the scene. The beggar, a lady wrapped up in a torn saree, scanned through all the vehicles and lodged herself besides the Audi. She started her gimmicks for alms. The gentleman in the rear seat of the supercar ignored the unlucky soul for a while, and then opening the window pane called for the lady beggar, and offered her a pack of biscuit that he had, the beggar refused. She insisted on getting monetary alms. The Audi gentleman, then offered a barter, "I will give you a 100 r

Gharwapasi!!!

Kal shaam jab ham chai ki tapri par ham cigarette sulga rahe the, Ramdas ji us chhote se news house ki shobha badha rahe the.  Aaj ka mudda tha, gharwapasi,  Sab ne apna paksha rakha aur hua vichar manthan,  Ramdas ji bole, Bhaiya yeh Bada hi gambhir mudda jispar hoga chintan. Itne salo se Hamne mehnat kar yh ghar hai banaya, To kya AB in ke raaj me hoga hamara safaya. Sare shor sharabe k beech Ramadas ji Bina tie k Arnab najar aa rahe the, Dikhe bhale na Arnab jese par shor to utna hi macha rahe the.  Sare ho Halle ke beech ek chacha ne apna aapa kho dia, Bole kal to had hi ho gayi, kal usne mujhe kutte ki tarah dho dia.  Us par tilakdhari maharaj bole, ham apke saath puri santavana prakat karte hai,  Hamari chai khatam hui , AB ham glass table pe dharte hai. Mr. Fernandes  ne sabke upay k liye ek sujhav rakha, Ghar wapasi ki sharte nischit ho, iske bare me kya khayal hai,  Kese ho gharwapasi yahi to Sara bawal hai.  Sab ne haan me haan milayi, P

Us Bachhe ki Siskiya

Us bachhe ki siskiya!!! Maa aaj muje school nahi Jana, Chhote se monu ne aaj subah siskia bhari. Kya hua bachhe, homework na kar paane ka h Fir se yh bahana. Maa school k log bahut kharab hai, Muje waha achha nahi lagta, School Jane k dar se mai sari raat hoon jagta. Bachhe Aage badhne k liye tumhe padhna to padega hi, Nahi to tum peeche rah jaoge, Fir Aage papa jese kese ban paoge. Maa mai aap KO apni baat kese samjhau, Chhodo aap nahi samajh paoge, Sab sunkar mujse kese najar milaoge. Bhari man se bhari basta girte girte sambhala Lunch box liye bager hi school k liye nikal pada, Bhook nhi hogi bachhe KO yh soch Maa KO bhi na fark pada. Shaam KO teacher ne phone kar Maa KO khoob khari koti sunayi, Homework na kar pane par karni hogi bharpayi. Gusse se aagbaboola maa, ne baap se najre milayi, Hamare monu ki teacher ne aaj muje dapat lagayi. Aajkal monu ka man padhai me nahi lag raha hai, Jese kisi galat sangat me pal raha hai. Baap ne kisi ki

A tribute to all rape victims

Maa aaj muje aane me jara der ho jaegi, Pata nhi aaj kudrat muj par kesa qahar dhayegi. Maa yahan raste pe ghana andhera hai, Samne ek bijli ke pole ko logo ka ghera hai. Maa unhe dekh kar mera ji ghabra raha, Aaspaas to koi aur hai hi nahi yaha. Dabe paao mai aage badhi jaa rahi hoon, Bas agle mod pahuch jaaoon mann hi mann mana rahi hoon. Khuda ka shukra hai, ghar saamne hi dikh raha hai, Par yeh kya koi mera peecha kar raha hai. Maa tu jara chaukhat pe aa jaa, Thodi himmat bandh jaegi, Jane yh insaniyat aaj kesa kahar dhaegi. Shayad  peechha karne wala bhi agne ghar ja rha hoga, Yahi soch kar m dil ko tassali de rahi hoon, Par chehre se tapakte paseene k beech mann hi mann ro rahi hoon. Maa ab to yeh aage aa ke mera rasta rok raha hai, Abhi samne dikhne wala mera ghar jane kaha hai. Muje jaane do bhai esi mene fariyad ki, Mann hi mann mene isht dev ki shakal yaad ki. Saamne khada rakshas mujh par dahad maar kar hasa, Uski bhayanak kaya dekh kar mera

Dharam aur dange!!!

Ek chhoti si ek sadak pe chal rha tha mai, ki ek bheed ko dekh thithak gaya. hatho me dekh bhale aur talwar mera man sisak gaya. muje dekh un bahubaliyo ne apni bhauhe chadhai, Mujh tak badhte unke kadam dekh chehre se udi hawai. Ek bhare pure insaan ne meri rooh tak mujko ghoora, Fir mudkar tilakdhari baba ko bola yh to hai insaan adhura. Hatho me dhaga h gale me cross aur gale me tabeej, Jaldi se bata kaun se kaum ka h tu beej. Mene baba se bola hindu muslim ka to pata nhi, Par kaum se mai gareeb hoon. Ishwar allah ka mureed hoon. Dar se gala saaf kar mene aage baat badhai, Apne kaumi beej k sawal pe di safai. Mandir masjid k beech chai ka thela lagata hn. Logo se kaum puche bina unko chai pilata hoon. Kal se dango ke karan mera dhanda thanda hai, Par kaam pe to nikalna tha, kyuki yahi  meri roji mera dhanda hai. Chai ke kanastar pe hath rakh kar mene kaha, Aapke irade dekh lagta h aaj bhi khali haath ghar jana padega, Aaj bhi mere

Bhookh

Bhookh ki koi jaat koi bisaat nahi hoti, Bhookh to unko lagti h jinki koi aukaat nahi hoti. Bhookha tan sirf roti ki ichha rakhta hai, Bhookh ke aage koi khurafaat nahi hoti. Khali pair, nange badan to koi bhi chal leta hai, Par bhookhe pet chalne ki kisi ki himaqat nhi hoti. Sone k liye chadar mile na mile, Khane ke liye do roti ki darkaar hai, Roti hi hai duniya me jiske liye sari takraar hai. Takraaro me takraar ki koi aawaaj nahi hoti, Bhookh ki koi jaat koi bisaat nahi hoti.