Rikshewala Ameer Ho Gaya
Ek din ek rikshewale k ghar pe
sarkari babu aye,
Adhe tute huye darwaje ko jor se
khatkhataye
Rikshawala dauda-dauda aya, aur
sankal hatayi,
Dekh kar samne suit-boot wale babu,
uski buddhhi chakrayi.
Usne socha ki ye shayad koi survey
karne aye hai,
Ya bachho ko polio ki do boond
pilane aye hai.
Bade aadar se usne unhe andar
bulaya,
Andar tooti mej aur fati chatayi
dekh sarkari babu jhallaya.
Bola hum baithne nahi aye hai,
Bus tumse kuch sawal karne aye hai.
Yeh sun ke rikshawala ghabraya,
Socha ye kesa sankat hai aya.
Babu ne pucha, ghar me kitne log
hai,
Sabhi maujud h yahan, yeh bhi kya
kam sanyog hai.
Babu ne charo taraf najar daudayi,
To teen bachhe aur yeh h tumhari
lugayi.
Rikshewale ne sir hilakar hami
bhari,
Aur ek budhi ma hai jo khat par h
padi.
Babu ne pucha, mahine m kitna kama
leta hai,
Mai-baap mahine ka nahi, hamara to
din bhar ka theka hai.
Achha to din m kitna kama leta hai,
Malik yeh to is par nirbhar h ki
sawari kitna deta hai.
Gol-gol batein mat bana,
jaldi se apna hisab bata.
Malik kiraya kaat ke kuch 200
rupaye mil jate hai,
Inhi peso me hum apna kharcha
chalate hai.
Ghar me koi aur kaam nhi karta hai,
Maa budhi h, bachhe chhote, ghrwali
ko inka khayal rakhna padta hai.
Achha to 200 rupaye har din ka, prati
vyakti 33 rupaye ate hai,
Abhi tak kya aap garibi rekha mein
ate hain.
Rikshewale ne sar hila kar apna BPL
card dikhaya,
Use dekh babu muskuraya,
Jane kya socha, fir badbadaya,
Badhai ho bhai, ab tum garib nahi rah
jaoge,
Ab tum BPL se upar uth jaoge.
Ab is kagaj pe angudha lagana,
Aur age se anaj lene sarkari ration
ki dukan par mat ana.
Rikshewale ne gaur se babu ke
chehre ko dekha aur bola,
Malik in 200 rupaye me kharcha badi
mushkil se chalta hain,
33 rupaye me tan ko kapda, petbhar
bhojan, kya sab milta hain.
Babu dapta, chup raho, kya tum
sarkar se jyada jante ho,
Apne aap ko planning commission se
upar mante ho.
Hamare PM ne kaha hai, 28 rupaye se
upar kamane wala garib nahi hota hai,
Aur tut oh fir bhi 5 rupaye jyada
kama leta hai.
Yeh sun kar us garib ki ankho se
aansu tapak pade,
Anghudhe ki chhap le babu dusre
ghar chal pade.
Kamre ke beech betha garib darwaje
ko takat rah gaya,
Dukh tha use, aaj wo amir ho gaya.
Dear Atul,
ReplyDeleteIts great....My all good wishes...Keep it up....